ab mujhe koi intezaar nahiin...
na phone kii ghantii bajegii,
na darvaaze pe dastak hogii,
na saanson mein ravaanii,
na dil mein dhadkan hogii,
na maut ka sannaataa,
na zindagii kaa shor hogaa,
na aankhon mein chamak,
na baazuon mein zor hogaa
aaj pehlii baar mujhko,
khud pe aitbaar nahiin...
aaj mujhe koi intezaar nahiin...
na sapnon mein bageeche,
na hawaaon mein mehel honge,
na khayalon kii jheelon mein
khilte kanval honge
na baadalon ke paar
pariyon kaa baseraa hogaa
na surmayii shaam,
na rangeen saveraa hogaa
in tamaam kisson se,
ab koi sarokaar nahiin...
aaj mujhe koi intezaar nahiin....
na pyaar kii amaanatein,
na muskuraate pal milein
na diary ke pannon mein,
likhii huii ghazal milein
na chaal mein unmaad, aur
na baat mein mithaas hogii
tham chukii is zindagii ko,
ab bhalaa kyaa aas hogii
sab waqt kaa hai khel,
mere pyaar kii yeh haar nahiin...
par ab mujhe koi intezaar nahiin...
ab mujhe koi intezaar nahiin...
-- Manas Saran (26th March, 2007)
Tuesday, March 27, 2007
Subscribe to:
Posts (Atom)