Friday, December 08, 2006

yaadon ke paakhii

kuchh yaadon ke swarnim paakhi, mann ke aangan mein udte hain.
aur ab mere saare sapney, tere sapnon se judte hain.
mein yahaan chalaa, tum wahaan chale, par aan padaa hai mod vohii,
jiske aage apne raste, ab ek dishaa mein mudte hain.

ek dishaahiin jeevan ko tab, jeevan kaa saar samajh aayaa,
jab dhruv taaraa bankar usko, phir maarg prem ne dikhlaayaa.
mann mein pooraa vishvaas liye, tann mein komal aabhaas liye,
jis oar prem kaa uday dikhe, hum usii oar chal padte hain
aur ab mere saare sapney, tere sapnon se judte hain.

woh saal, maheene, din, woh pal, jab jab hum donon door rahe,
ek ajab, sukhad aabhaas bane, tum aksar mujhko paas lage.
lekin ab koi khed nahiin, jeevan se bhii matbhed nahiin
patjhad mein hariyaale patte, bhii shaakh se apnii jhadte hain
par ab apne saare raste, bas ek dishaa mein mudte hain.

ab jeevan saath bitaanaa hai, sukh dukh mein saath nibhaanaa hai.
jo kuchh jeevan mein arjit ho, tumhein arpit karte jaanaa hai.
mein har kshan tumko yaad karoon aur har pal tum mujhko socho,
yuun jeevan maalaa mein, meethii yaadon ke motii jadte hain.
jin yaadon ke swarnim paakhii, mann ke aangan mein udte hain

- Manas Saran (7th Dec, 2006)