This one's written by Javed Akhtar.... I call it his Taj-Mahal. He hasn't been able to beat this himself.
mein bhool jaoon tujhe, ab yahi munaasib hai...
magar bhulana bhi chaahoon to kaise bhooloon,
ki tum to phir bhi haqeeqat ho, koi khwaab nahiin
yahan to dil ka yeh aalam hai, kya kahoon...
kambakht!!
bhula saka na ye, woh silsila jo tha hi nahiin,
woh ek khayaal jo aawaaz tak gaya hi nahiin,
woh ek baat jo mein keh nahiin saka tumse,
woh ek lakht jo hum mein kabhi raha hi nahiin..
agar yeh haal hai dil ka to koi samjhaaye,
tujhe bhulana bhi chaahoon to kaise bhooloon,
ki tum to phir bhi haqeeqat ho, koi khwaab nahiin
ki tum to phir bhi haqeeqat ho, koi khwaab nahiin
Friday, March 10, 2006
Subscribe to:
Posts (Atom)